Maa Ke Aansoo

Discussion in 'Jokes' started by Reenae, Jan 8, 2008.

  1. Reenae

    Reenae Bronze IL'ite

    Messages:
    186
    Likes Received:
    14
    Trophy Points:
    33
    Gender:
    Female
    Hazharon gham seh sakthi hoon main
    Lekin hai ek gham jo sehna nahin chahthi
    Hai ek gham jo main seh nahin sakthi
    Apni maa ki aankhon main aansoo main dekh nahin sakthi
    Isliye kehthi hoon main aaj bhagwaan se
    “Tu tho mujhe detha hai ye gham har din
    lekin aaj tu sunle ek dua meri
    kaash mere doston ko na sehna padhe ye gham har din”
    kyunki hai ye gham aisa
    jo koi bhi beta seh nahin saktha
    chahe kitna bhi pathar dil insaan ho woh
    woh bhi ye gham seh nahin chahtha
    isliye aaj ye dua nikalthi hai dil se
    us insaan ke liye bhi jo meri maa ke aakhon main aansoo hain lata
    ki unhen bhi is jeevan main
    kaash ye gham sehna na padhe O Daata
    kyun ki woh bhi hai ek insaan
    woh bhi hai ek maa ka beta
    woh bhi seh saktha hai hazaaron gham
    par pata hai mujhe….woh bhi yeh gham seh nahin paatha
    Main Abhi jab main kahin se aa rahi thi
    Jab raasthe pe yuhin main chal rahi thi
    Mujhe bas yaad aagai uski
    Aur maine uspe ek kavita likhdi
     

Share This Page