Zindgi ko talashate hue yuhi kuch likh dala.... Kuch rishton ko humne thukra diya. Kuch rishton ne humse nata tod liya. Kuch rishto ka hum sath nibha na sake Kuch rishton se hume khush dekha na gaya. Sab matlab k hai sathi. Sath dete hai apni garaj k mutabik. Mil jate hai jab dost yaar naye Bhool jate hai sab vaade kiye Seekh liya meine bhi tanha jeena Kabhi rahi nai thi kisi k bina Aaj bacho mein dhoonti hoon Apna khoya bachpan Jo chhin liya tha kisi ne Uske sapne poore karte karte Bhool gayi thi mein Khud ka jeena. Bacho ko bhi hai ik din door jana Puçhhta nai hai koi kisi ko matlab k bina Aaj tay kar liya kuch apnay liye hai karna Bus apnay liye hai jeena aur apnay liye marna. Harpreetk
Jeena yahan: Marnah yahan : Mukesh voice of raj kapoor comes to mind. Bhoola Gaya sab kuch Yadh nahi Abhi kuch: Thanks and Regards.
Very true. Here is one from my pen. कुछ कह गए,कुछ सह गए, कुछ कहते कहते रह गए, मैं सही तुम गलत के खेल में न जाने कितने रिश्ते ढह गए। (kuchh kah gaye, kuchh sah gaye, kuchh kahte kahte rah gaye, mai sahi tum galat ke khel me na jaane kitne rishte dhah gaye.)