zindgi mein sab kuch hai phir bhi kuch kami hai... Sath hai bahut log..par ek hi nahi hai.. Uske kandhe par sar rakh k rone ko dil karta hai Uski god mein sir rakh k sone ko dil karta hai.. Din bhar ki baatein uske sath share karne ko dil karta hai... Kuch puchhne kuchh kehne ko dil karta hai.. Woh hoti toh achha bura samjhati Woh hoti toh mere bacho ko khoob badmashiya karwati... Woh hoti to mere bacho ko nani ke ghar ka pata hota.. Woh hoti toh garmi ki chhutiyon ka bhi mazza hota... Woh hoti toh mera har dukh baant leti... Woh hoti toh kisi ko mujhe kuch kehne na deti.. Woh hoti toh kisi ki himmat kahan hoti.... Woh hoti toh mere hothon pe sirf hassi hoti... Zindgi toh beet ti chali jati hai... Par maa teri badi yaad aati hai...
Mind craves for proximity of mom to share numerous emotions well brought out in these lines and reminds readers a rush of movie songs and shayaris linking to the emotive scenes in box office hits in Tamil and Hindi as well. Thanks and Regards.