Apnay hothon par sajaana chahta hoon, Aa tujhay main gungunana chahta hoon ! Koi aansoo tery daaman par gira gar, Boond ko moti banana chahta hoon ! Thak gaya main kartay kartay yaad tujko, Ab tujhay main yaad aana chahta hoon ! Cha raha hai saari basti mein andhera, Roshni sey ghar jalana chahta hoon ! Aakhri hichki teray shaano pay aayey, Maut bhi main shayraana chahta hoon ! Apnay hothon par sajaana chahta hoon, Aa tujhay main gungunana chahta