Hi this thread is related by bhajans , aarti & story of god & goddess if any like this thread then post aarti , bhajans or story. started by a ganesh aarti jai jai ho ganesha kato hamare kalesh aaye sharan tumhari baldhaari ho jai ganpati Vijay tumhari ho 1 pahali aarti kare tumhari , chadhe phool ki mala mathey upper tilak viraje chale gajanan lala suno girrija kumar suno hamari pukar aaye sharan tumhari baldhaari ho jai ganpati Vijay tumhari ho 2 gol gol modak ka tumko jo koi bhog lagaye lambodar tum sabse phale unke kaaj banaye aaye sharan tumhari baldhaari ho jai ganpati Vijay tumhari ho 3 jab tak is sansaar me hai prabhu chndra suraj ki jyoti sab devon ke aarambh me prabhu tumhari pooja hogi aaye sharan tumhari baldhaari ho jai ganpati Vijay tumhari ho jai ganesha
Wow!!!lovely thread thank you for starting such an auspicious thread and I am sure it will help lots of il friends in all aspects of life i am am posting Hanuman arti !!! Aarti Shri Hanumanji Aarti Kije Hanuman Lala Ki। Dusht Dalan Ragunath Kala Ki॥ Jake Bal Se Girivar Kaanpe। Rog Dosh Ja Ke Nikat Na Jhaanke॥ Anjani Putra Maha Baldaaee। Santan Ke Prabhu Sada Sahai॥ De Beera Raghunath Pathaaye। Lanka Jaari Siya Sudhi Laaye॥ Lanka So Kot Samundra-Si Khai। Jaat Pavan Sut Baar Na Lai॥ Lanka Jaari Asur Sanhare। Siyaramji Ke Kaaj Sanvare॥ Lakshman Moorchhit Pade Sakaare। Aani Sajeevan Pran Ubaare॥ Paithi Pataal Tori Jam-kaare। Ahiravan Ke Bhuja Ukhaare॥ Baayen Bhuja Asur Dal Mare। Daahine Bhuja Santjan Tare॥ Sur Nar Muni Aarti Utare। Jai Jai Jai Hanuman Uchaare॥ Kanchan Thaar Kapoor Lau Chhaai। Aarti Karat Anjana Maai॥ Jo Hanumanji Ki Aarti Gaave। Basi Baikunth Param Pad Pave॥ Jai siya raam,jai siya raam ,jai siya raam ... jai mahaveerji !!!
story of ganeshji & chadrama in bhajan from vighan vinashak mangalkarata , sukh karata dukh harata wo pratham pujay devon me aala, hain gauri ke lala wo modak inko bahut hain bhate , mooahak par baithkar iterate ganpati sab kahatein hain inko , gan nayak bhi bulate ho pratham pujay devon me aala, hain gauri ke lala wo ek din ki baat sunaye, bole maa hum bhraman ko jaayen maa modak dekar boli, jaladi vapas aana ho pratham pujay devon me aala, hain gauri ke lala wo mooshak par baith chale ganesha, saamane aaya ek sarp vishaila mooshak inka ghabaraya aur ganpatiji gir gaye ho pratham pujay devon me aala, hain gauri ke lala wo chandrama ne ye sab dekha , dekah ke jor se hansakar bola chhote se mooshak par dekho, itane mote ganpati ho pratham pujay devon me aala, hain gauri ke lala wo ye sunkar ganpati huye krodhit aur chandrama ko kar shapit shap sun kar chandrama ka rang pad gaya kaalaa ho pratham pujay devon me aala, hain gauri ke lala wo tab chadrama ki samajh me aaya, apni karani par pachhataya chandrama laga kshama maangane tab ganpatiji ne samjhaya apni sundarata aur guno ka kabhi ghamand na karana ho pratham pujay devon me aala, hain gauri ke lala wo
bhajan of maa durga jai ambe jai jai jagdambe, tumse hai ye vinati hamaari dwar daya ke kholo mata, aaye sharan tihari 1 sab paye nirogi kaya, na ho man me dwesh samaya sab bhadra bhav se dekhein , koi samjhena paraya jai ambe jai jai jagdambe, tumse hai ye vinati hamaari dwar daya ke kholo mata, aaye sharan tihari 2 aashish gyan ka dejiye, atam sukh ka gyan dejiye sat marg kabhi na chhoden , itani Shakti ma dejiye jai ambe jai jai jagdambe, tumse hai ye vinati hamaari dwar daya ke kholo mata, aaye sharan tihari 3 sansaar me sab sukhi ho, na koi ho dukhaari man rama rahe hamesha bhakti me tumahaari jai ambe jai jai jagdambe, tumse hai ye vinati hamaari dwar daya ke kholo mata, aaye sharan tihari
PRAYER OF GAYATRI MATA Jayati jai gayatri mata , tum ho ved purano ki gyata Sare jagat mein praksh gyan ka tumne hi to phailaya 1 Satay sanatan roop tumhara, hansa teri sawari shwet shudh hain vastra tumhare, pustak kamanda dhaari jo koi dhyan kare tumhara,dukh aur rog nikat nahi aaye Mantra me tumahare itani Shakti, avidya aur paap ko bhaagye Jayati jai gayatri mata , tum ho ved purano ki gyata tumhi Lakshmi tumhi saraswati, tumhi jag janani bhawani tumhi mata har disha mein, tum se badhkar kaun jahan mein sare grih aur nakhstra ko tumne hi gatiwaan banaya tumne hi ye brihmand rachaya , tumhi ho isaki praan vidhata Jayati jai gayatri mata , tum ho ved purano ki gyata