1. U.S. Elementary Education : What Parents Need to Know
    Dismiss Notice

hindi

Discussion in 'General Discussions - USA & Canada' started by enjoylife, Jan 15, 2008.

  1. enjoylife

    enjoylife New IL'ite

    Messages:
    38
    Likes Received:
    1
    Trophy Points:
    8
    Gender:
    Female
    helloooooo
    every1
    hows life going?


    aaj me hindi ke bare me kuchh kehana chahati hun,as a indian hindi hamari matru bhasha hai par yaha videsh me aake indians samajte nahi hai ki hindi unaki bhasha hai. unhe lagata hai ki jin logo ko english nahi aati vohi hindi me bat karte hai,
    aap ko kya lagta hai?
    agar hum kisi indian se mile to hame hindi me bat karani chahiye ya nahi.......
    ya fir yahi batana chahiye ki hum videsh me rahate hai kyonki hame english aati hai....shakehead
     
    Loading...

  2. sowmyapbhat

    sowmyapbhat Senior IL'ite

    Messages:
    276
    Likes Received:
    4
    Trophy Points:
    18
    Gender:
    Female
    Namaste,

    Main ek baat kahna chaahongi is vishay ke baare mein..

    Maanti hoon ki Hindi hamaari Maatru Bhaasha hai, aur hamein garv hai ispar.

    Lekin maine dekha hai ki bahut log Hindi theek tarah se bol aur samaj nahi paate. Aisa

    hota hai ki school mein bhi Hindi bhasha nahi sikhaayi gayi...Bharat bhi bahut vishaal

    desh hai, aur har rajya ki apni hi bhasha hoti hai.

    Shayad, isi kaaran videsh mein Indian log English mein bolte hain, kyonki unhe Hindi me

    bolne ki aadat nahin hain, ya ve yeh nahi pehchan sakte hain ki sunne walon ko

    Hindi samaj me aati hai ki nahi...

    Yeh mere vichaar hain, agar maine kuch galat kaha toh maaf kijiye...

    Dhanyavaad sahit,
    Sowmya
     
  3. DudeWithAttitude

    DudeWithAttitude New IL'ite

    Messages:
    36
    Likes Received:
    0
    Trophy Points:
    6
    Gender:
    Male
    Mai aap dono ki baat maanta hu - mujhe bhi apni raaj bhasha aur matru bhasha pe garv hai, me paidaishi hindi nahi jaanta hu lekin maine seekha hai, aur mujhe hindi bahut achcha lagta hai, isliye hindi gaane bhi bahut suntaa hu...mai bhee meri hindi practice karne ke liye aur aur bhi hindi seekhne ke liye marg dundh raha hu - kamse kam yaha online to koyi milega yeh ummeed hai mujhe!

    I hope I didnt make any blunders here - if so, please do not hesitate to correct my hindi! :)
     
  4. enjoylife

    enjoylife New IL'ite

    Messages:
    38
    Likes Received:
    1
    Trophy Points:
    8
    Gender:
    Female
    namste
    muje ish baat ki khushi hui ki koi to ish site par hindi ke vishay me baat karane ke liye aage aaya
    thanx
    me janti hun ki kai logo ko hindi nahi aati aur usme se ek hai mere pati....
    par fir bhi hum jab bhi hamare friends jo north india side ke hai unse milte hai to hindi me baat karte hai aur hamare friends ko bhi khushi hoti hai ki mere pati unse hindi me baat karane ki koshish kar rahe hai aur agar kuchh galat bol diya ho to friends unhe sahi bhi karte hai aur ishi tarha mere pati bhi hindi bolna shikh rahe hai......
    par me kai aese logo se mili hun jinhe hindi aati to hai par wo hindi bolna nahi chahate, koi baat nahi chalo ye to unki problem hai ......
    par aap logo se hindi ke vishay me milkar khushi hui
    agar koi galti hui ho to maf karna
    enjoy your life
     
  5. DudeWithAttitude

    DudeWithAttitude New IL'ite

    Messages:
    36
    Likes Received:
    0
    Trophy Points:
    6
    Gender:
    Male
    Hum haazir hai hindi seekhne ke liye, koyi sikhaane vaale hai?

    Mujhe ek idea aa raha hai - (btw, idea ko kya kehte hai?) ke kyo na hum isko ek game(khel) jaise khele, har din kuch angreji shabd (words) leke usko hindi me translate kare, jitnebhi synonyms ho woh sab aap ko jitna pata hai yaha bataayiye, jaise ki 'but' ko 'lekin, agar, magar, kintu, parantu' - mujhe aise shabd sunne me aur bolne me bahut majaa aataa hai....esp jab DD pe Mahabharat aur Ramayana aata tha, woh bahut achcha lagta tha sunne me aur dekhne me bhee.

    Pehle ye bataaye ki is angreji shabdoko kaise translate kiya jaaye...
    Idea
    Translate
    Passion
    Attitude :)D)

    Agar ye khel thode din chale to fir kuch aur naye shabd post kiya jaaye.

    Dhanyavaad
    Aap ka Dude
     
  6. Anandchitra

    Anandchitra IL Hall of Fame

    Messages:
    6,617
    Likes Received:
    2,620
    Trophy Points:
    345
    Gender:
    Female
    namaste
    aap log achi bath karenge. mujhe hindi seekne kelie aayee hum
    e thread sirf hindi me bath karnekelia rakdo
    forgive me if i made mistakes
    its more difficult to write than i thought
    mujhe map kardo mein ghalad khardean
     
  7. Abha

    Abha Bronze IL'ite

    Messages:
    509
    Likes Received:
    19
    Trophy Points:
    48
    Gender:
    Female
    arey waah, sabne bahot acchi hindi likhi hai !

    vaise hum punjabi hai, lekin main aur mere parivar mein sab hindi mein hi baat karte hain zyadatar, to hamari hindi bahot hi acchi hai, lekin shabdon ka bahot goodh gyan nahi hai isliye beech beech mein angreazi shabdo ka bhi prayog karte hain... (main kuchh zada hi shuddh hindi mein likh rahi hu) :)

    mere khayal se chahe aap kisi bhi pradesh ke ho, Hindi samajhna aur bolana bahot acchi baat hai, kyoki wo hamari Matra bhaasha hai... jaise aap tamil hai, ya kannada hai, vaise hi main bhi Punjabi hu, mujhe punjabi bahot acche se aati hai lekin hindi bhi bahot acche se aati hai ...

    Kisi ne yahan 4 shabd likhe hain, unka matlab agli pankti mein dekhe:

    Idea - Vichaar
    Translate - Anuvaad
    passion - josh
    Attitude - Bartaav

    Dhanyavaad
    ~Abha
     
  8. Ria2006

    Ria2006 Silver IL'ite

    Messages:
    792
    Likes Received:
    54
    Trophy Points:
    83
    Gender:
    Female
    वाहह क्या बात है मज़ा आ गया. मे भी बात करूँगी हिन्दी मे. मेरी हिन्दी अच्छी है. मुझे डिस्टिंक्षन जो मिला है हिन्दी मे.
    मैं भी पंजाबी हूँ लेकिन मुझे हिन्दी , पंजाबी और मराठी आती है. मैं कन्नड़ और तमिल सीखने की कोशिश कर रही हूँ.और फ्रेंच भी सीख रही हूँ.
    मेरे डेडी कहते हैं, जितनी ज़्यादा भाषा आती हो, उतना ज़्यादा दिमाग़ और सोच का विस्तार होता है. में यहाँ अमेरिका मे सामने वाले को देख के उससे हिन्दी या इंग्लीश मे बात करती हूँ.
    सब लोग एक जैसा नही सोचते. अगर आपको कुछ ऐसे लोग मिले जो हिन्दी बोलने मे संकोच दिखा रहे हों. तो उन्हे क्षमा कर देना चाहिए. जो लोग अपने मुल्क और मा से प्यार नही करते.
    वो सच मे बहुत बदनसीब हे.
    यह खेल का विचार काफ़ी अच्छा है.
    मैं कुछ नये शब्द लिख रही हूँ
    एमोशन्स - भावना
    डाउट- संदेह, शक
    आंबिशन - आकाँशा, इच्छा
    सेल्फ़ कॉन्फिडेन्स - आत्म विश्वास
    शुभ कामनायें
    रिया
     
  9. DudeWithAttitude

    DudeWithAttitude New IL'ite

    Messages:
    36
    Likes Received:
    0
    Trophy Points:
    6
    Gender:
    Male
    Woh Bandaa(dude) main hee hu! :biggrin2: aur aapko shukriya dena chahta hu anuvaad ke liye!
    Vichaar aur anuvaad shabd to jaane pehchaane se hai! Sirf bartaav ke baare me ek savaal hai, mujhe lagaa bartaav ka matlab 'bear/tolerate' hai, like 'mujhe bartaav nahi hota' - shaayad uska ispelling kuch aur ho sakta hai.
    Aur maine josh ka matlab excitement samjha abhi tak.

    Aap punjabi hai, kya baat hai - chalo saath me do bhaasha seekh lunga fir !
    Dhanyavaad
    Bandaa kahee kaa! :biggrin2:
     
  10. DudeWithAttitude

    DudeWithAttitude New IL'ite

    Messages:
    36
    Likes Received:
    0
    Trophy Points:
    6
    Gender:
    Male
    Chalo, aap ki hindi padhte padhte hi meree hindi aur sudhar jaayegi - kuch dino me mai bhi hindi font me likhne ka koshish karunga. Ek vinatee hai aap se, ho sake to naye shabd English mei bhi likhe to padhne ka aasaan rahega.

    Dhanyavaad
    -Bindaast Bandaa
     

Share This Page