1. Have an Interesting Snippet to Share : Click Here
    Dismiss Notice

Soch - Hindi Poem

Discussion in 'Poetry' started by Bathul, Mar 2, 2017.

  1. Bathul

    Bathul New IL'ite

    Messages:
    1
    Likes Received:
    1
    Trophy Points:
    1
    Gender:
    Female
    SOCH

    Duniya hui zaalim insaan hua iska gulaam

    Jitna bhi ho jo bhi dill kahe thoda aur

    Kaisi he ya talab kaisi bhook

    Dekh zara jal raha koi is daldal me doob

    Socho samjho jaano kyun insaan khush nahi aaj

    Ghar parivaar k rehte kyun mann me sukh nahi karta he raaj

    Annkhen khol insaan bhatak gaya he tu

    Is duniya k rang me behak gaya he tu

    Apne zameer se pooch kya yahi teri zaroorat

    Kya teri khushi k waapsi ki nahi he koi soorat

    Chal ghar wapas chal khol darwaza dil k aaine ki

    Teri khushi basi he tere apnon k aankhon me unke sparsh me unke ehsaas me

    Un aankhon me basi nami ko door kar , Us sparsh us ehsaas ko mehsoos kar ,

    Khwahishon k samundar me doobna nahi tairna seekh

    Tujhe manzil milegi apnepan k ehsaas k saath apnon k muskaan k saath.

    Written By : Bathul Assadi
     
    BeingSoulful likes this.
    Loading...

Share This Page